Sunday, November 24, 2013

Dunya ki koi bhi taqat, apna pyar kam na kabhi kar paegi

Dunya ki koi bhi taqat, apna pyar kam na kabhi kar paegi
Na-umeedi kabhi bhi beech mein, iss doori ko na la paegi

Tanhai mein bhi tumhe mere pyar ka, kuch istarah ehsaas ho
Jaise tumhara pyar mere paas hei, mera pyar tumhare paas ho

Tumhare moti jaise aanson ko, hathon mein apne bhar loon mein
Jaha pade ho tumhare qadam, rasta phoolon se wo bhar doon mein

Mere hathon mein apna hath jo do, to phir sab kuch pyara lage ga
Hum sath hon to phir mushkil hei kya, asaan jeevan sara lage ga

Khushian tab lagti khushian hein, jab koi aisa saath hota hai
Dunya ke haseen yun lagne mein,jaise uska hi hath hota hei

Apne dil pe bharosa kar ke tum, hathon mein lelo iss hath ko
Roshan karenge hum apne pyar se, chahe jitni bhi kali raat ho

Doori se dil door hota nahi,WAKAS ye raaz humne jane hein
Bichad gaye to phir kya hua, milne ke bhi lakh bahane hein

No comments:

Post a Comment