bahot mila na mila zindagi se gham kia hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kia hai
ham ek umar se waqif hain ab na samjhao
ke lutf kia hai mere meharabaan sitam kia hai
kare na jag mein alaav to sher kis maqsad
kare na shahar mein jal-thal to chashm-e-nam kia hai
ajal ke haath koi aa raha hai parwana
na jaane aaj ki feharist mein raqam kia hai
sajao bazm ghazal gao jaam taza karo
bahot sahi gham-e-geti sharaab kam kia hai
lihaaz mein koi kuch door saath chalta hai
wagarna dahar mein ab khizr ka bharam kia hai
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment