Sunday, November 17, 2013

bahaar aii to jaise ek baar

Written in April 1975
Published in 'Shaam-e-Shahr-e-Yaaraan'


bahaar aii to jaise ek baar

laut aaye hain phir adam se 
wo Khwaab saare, shabaab saare 
jo tere honthon pe mar mite the 
jo mit ke har baar phir jiye the 
nikhar gaye hain gulaab saare 
jo teri yaadon se mushk_bu hain
jo tere ushshaaq ka lahu hain 

ubal pare hain azaab saare 
malaal-e-ahawaal-e-dostaan bhi 
Khumaar-e-aagosh-e-mahavashaan bhi 
Ghubaar-e-Khaatir ke baab saare 
tere hamaare 
sawal saare, jawab saare 
bahaar ai to khul gaye hain 
naye sire se hisaab saare

Faiz Ahmad Faiz

No comments:

Post a Comment