Sunday, November 17, 2013

ab wohi harf-e-junoon sab ki zuban thehri hai

ab wohi harf-e-junoon sab ki zuban thehri hai
jo bhi chal nikli hai wo baat kahan thehri hai

aaj tak shaikh ke ikaram mein jo shay thi haram
ab wohi dushman-e-deen rahat-e-jaan thehri hai

hai khabar garm ke phirta hai gurezaan naaseh
guftagu aaj sar-e-ku-e-butaan thehri hai

hai wohi aariz-e-laila wohi sheereen ka dahan
nigah-e-shauq gharri bhar ko yahan thehri hai

wasl ki shab thi to kis darja subak guzari hai
hijr ki shab hai to kia sakht garaan guzari hai

bikhari ek baar to haath ai kab mauj-e-shameem
dil se nikli hai to kab lab pe fugaan thehri hai

dast-e-sayyaad bhi aajiz hai kaf-e-gulcheen bhi
bu-e-gul thehri na bul-bul ki zabaan thehri hai

aate aate yun hi dam bhar ko ruki hogi bahar
jaate jaate yun hi pal bhar ko khizaan thehri hai

ham ne jo tarz-e-fugaan ki hai qafas mein ijaad
"Faiz" gulashan mein wo tarz-e-bayaan thehri hai

Faiz Ahmad Faiz

No comments:

Post a Comment