aaye kuch abr kuch sharab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye
baam-e-meena se maahataab utare
dast-e-saaqi men aaftaab aaye
dast-e-saaqi men aaftaab aaye
har rag-e-Khoon men phir charaghan ho
saamane phir wo benaqaab aaye
saamane phir wo benaqaab aaye
umar ke har waraq pe dil ko nazar
teri meher-o-wafa ke baab aaye
teri meher-o-wafa ke baab aaye
kar raha thaa Gam-e-jahan ka hisaab
aaj tum yaad be hisaab aaye
aaj tum yaad be hisaab aaye
na gaii tere Gham ki saradaarii
dil men yun roz inqalaab aaye
dil men yun roz inqalaab aaye
jal uthe bazm-e-Ghair ke dar-o-baam
jab bhii ham Khaanamaan_Kharaab aaye
jab bhii ham Khaanamaan_Kharaab aaye
is tarah apni Khamashii goonji
goya har simt se jawab aaye
goya har simt se jawab aaye
'Faiz' thi raah sar basar manzil
ham jahan pahunche kaamayaab aaye
ham jahan pahunche kaamayaab aaye
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment