bol k lab aazad hain tere
bol zaban ab tak teri hai
tera sutawaan jism hai tera
bol ki jaan ab tak teri hai
dekh ke aahangar ki dukaan mein
tund hain shole surkh hai aahan
khulne lage quffalon ke dahaane
phaila her ek zanjeer ka daaman
bol ye thora waqt bahot hai
jism-o-zaban ki maut se pehle
bol k sach zinda hai ab tak
bol jo kuch kehna hai keh le
bol zaban ab tak teri hai
tera sutawaan jism hai tera
bol ki jaan ab tak teri hai
dekh ke aahangar ki dukaan mein
tund hain shole surkh hai aahan
khulne lage quffalon ke dahaane
phaila her ek zanjeer ka daaman
bol ye thora waqt bahot hai
jism-o-zaban ki maut se pehle
bol k sach zinda hai ab tak
bol jo kuch kehna hai keh le
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment