Saturday, November 16, 2013

phir usi waadi-e-shadab mein laut aya hon

phir usi waadi-e-shadab mein laut aya hon
jis mein pinhaan mere Khwaabon ki tarabgaahen hain
mere ahbaab ke saman-e-ta'ayyush ke liye
shaukh seene hain, jawan jism, haseen bahen hain

sabz khaiton mein ye dubki hoi dosheezaen
in ki shiryanon mein kis kis ka lahu jari hai
kis mein jurrat hai k is raaz ki tash_heer kare
sab ke lab par meri haibat ka fusoon taari hai

haye wo garm-o-dil aavez ubalte seene
jin se ham satwat-e-aabaa ka silaa lete hain
jaane in mar maren jismon ko ye mariyal dahqaan
kaise in teerah gharondon mein janam dete hain

ye lahakte hoe paode, ye damakte hue khait
pahle ajdaad ki jaageer thi, ab mere hain
ye charagaah, ye rewar ye maweshi ye kisaan
sab ke sab mere hain, sab mere hain, sab mere hain

in ki mehnat bhi meri, hasil-e-mehnat bhi mera
inke baazu bhi mere, quwwat-e-baazu bhi meri
main Khada wand hon is wus'at-e-be-payan ka
mauj-e-aariz bhi meri, nakhat-e-gesuu bhi meri

main un ajdaad ka beta hon jinhon ne paiham
ajnabi qaum ke saaye ki himayat ki hai
Ghadr ki saa'at-e-napak se le kar ab tak
her karre waqt mein sarkar ki Khidmat ki hai

Khaak par reengne wale ye fasurda Dhanche
in ki nazren kabhi talwaar bani hain na banen
in ki Ghairat pe her ik hath jhapat sakta hai
in ke abruu ki kamaanen na tani hain na tanen

haaye ye shaam, ye jharne, ye shafaq ki laali
main in aasooda fazaaon mein zara jhoom na lon
wo dabe paanv udhar kaun chali jati hai
barh ke us shaukh ke tarshe hoe lab choom na lon

No comments:

Post a Comment