Dekha hai zindagi ko kuch itna qareeb se
chehre tamam lagne lage hain ajeeb se
is rengati hayat ka kab tak uthaen baar
beemar ab ulajhne lage hain tabeeb se
her gaam per hai majama-e-ushshaaq muntazir
maqtal ki raah milti hai ku-e-habeeb se
is tarah zindagi ne dia hai hamara sath
jaise koi nibah raha ho raqeeb se
aye rooh-e-asar jaag, kahan so rahi hai tu
aawaz de rahe hain payamber saleeb se
chehre tamam lagne lage hain ajeeb se
is rengati hayat ka kab tak uthaen baar
beemar ab ulajhne lage hain tabeeb se
her gaam per hai majama-e-ushshaaq muntazir
maqtal ki raah milti hai ku-e-habeeb se
is tarah zindagi ne dia hai hamara sath
jaise koi nibah raha ho raqeeb se
aye rooh-e-asar jaag, kahan so rahi hai tu
aawaz de rahe hain payamber saleeb se
Sahir Ludhianvi
No comments:
Post a Comment