Saturday, November 16, 2013

Jab kabhi un ki tavajjo mein kami pai gai

Jab kabhi un ki tavajjo mein kami pai gai
az-sar-e-nau dastan-e-shauq dohrai gai

bik gaye jab tere lab phir tujh ko kia shikwah agar
zindgaani baadah-o-saaghar se behlai gai

aye Gham-e-duniya tujhe kia ilm tere vaste
kin bahanon se tab'eeyat raah par lai gai

ham karen tark-e-wafa, acha chalo youn hi sahi
aur agar tark-e-wafa se bhi na ruswai gai?

kaise kaise chashm-o-aariz gard-e-Gham se bujh gaye
kaise kaise paikaron ki shaan-e-zaibai gai

dil ki dharkan mein tawazun aa chala hai, Khair ho
meri nazren bujh gaen ya teri raan'ai gai

un ka Gham, un ka tasawur, un ke shikwe ab kahan
ab to ye baaten bhi aie dil ho gaen ai gai

jurrat-e-insaan pe go taadeeb ke pehre rahe
fitrat-e-insaan ko kab zanjeer pehnai gai

arsa-e-hasti mein ab tesha-zanon ka daur hai
rasm-e-changezi uthi to qaid-e-durrai gai
Sahir Ludhianvi

No comments:

Post a Comment