Saturday, November 16, 2013

Saathi haath barhana



Saathi haath barhana, sathi haath barhana
ek akela thak jaye ga, mil kar bojh uthana
Saathi haath barhana

ham mehnat waalon ne jab bhi mil kar qadam barhaya
saagar ne rasta chora, parbat ne sheesh jhukaaa
fauladi hain seene apne, fauladi hain baahen
ham chaahen to paida kar den, chattaanon mein raahen
Saathi haath barhana

mehnat apni lekh ki rekhaa mehnat se kia Darna
kal Ghairon ki Khatir ki ab apni Khatir karna
apna dukh bhi ek hai saathi apna sukh bhi ek
apni manzil sach ki manzil apna rasta nek
Saathi haath barhana

ek se ek mile to katra ban jata hai dariya
ek se ek mile to zarra ban jata hai sehra
ek se ek mile to rai ban sakti hai parbat
ek se ek mile to insan bas mein kar le qismat
Saathi haath barhana

matti se ham laal nikalen, moti laen jal se
jo kuch is dunia mein bana hai bana hamare bal se
kab tak mehnat ke pairon mein ye dault ki zanjeeren
haath barha kar cheen lo apne sapnon ki tasveeren

Saathi haath barhana

Sahir Ludhianvi

No comments:

Post a Comment