Saturday, November 9, 2013

Naam hi kya nishaN hi kya khawab o khayal ho gaye

Naam hi kya nishaN hi kya khawab O khayal ho gaye
Teri misaal de ke hum teri misaal ho gaye

Saya E zaat say bhi rum, aks E sifaat se bhi rum
Dasht E ghazal main aa ke dekh hum to ghazaal ho gaye

Kitne hi nashsha-ha-E-zouq, kitne hi jazba-ha-E-shouq
Rasm E tapaak E yaar se ru ba zawaal ho gaye

Ishq hai apna paidaar, us ki wafa hai ustawaar
Hum to halaak e warzish E farz E mahaal ho gaye

Kaise zameeN parast the ahd E wafa ke paasdaar
UR kar bulandyun meiN hum, Gard E malaal ho gaye

Qurb E jamaal aur hum, Aish E wisaal aur hum ?
Haan ye hua K sakin E shahr E jamaal ho gaye

Jadaa E shouq main paRa Qahat E ghubar E karwaN
WaaN ke shajar to sar ba sar dast E sawaal ho gaye

Kaun sa qafila hai yeh jis ke jaras ka hai yeh shor
Main to niDhal hogaya hum to niDhal hogaye

khaar ba khaar gul ba gul, fasl E bahaar aa gayi
Fasl E bahaar aa gayi , zakhum bahaal ho gaye

Shor uTha magar tujhy lazat E gosh to milii
Khoon bahaa magar teray hath to laal ho gaye

Hum nafasaan E waz’a-daar, mustam’aaan E burd baar
Hum to tumharay waastay ek wabaal ho gaye

‘Joan’ karoge kab talak apna misalia talash
Ab kayi hijr hogaye, ab kayi saal ho gaye

John Elia

No comments:

Post a Comment