Saturday, November 9, 2013

Aap apna Ghubaar the hum to

Aap apna Ghubaar the hum to
Yaad the, yaadgaar the hum to

Pardagi! hum se kyun rakha parda
Tere hi pardaa-daar the hum to

Waqt ki dhoop mein tumhare liye
Shajar E saayaa daar the hum to

URte jaate hain dhool ke manind
AaNdhiyoN par sawaar the hum to

Hum ne kyuN khud pe aetebaar kiya
Sakht be-aetebaar the hum to

Sharm hai apni baar baari ki
Be sabab baar baar the hum to

KyuN hamain kar diya gaya majboor
Khud hi be-ikhtiyaar the hum to

Tum ne kaise bhulaadiya hum ko
Tum se hi musta’aar the hum to

Khush na aaya hamain jiye jaana
Lamhe lamhe pe baar the hum to

Sah bhi lete hamaare ta’anon ko
Jan e man, jaaN nisaar the hum to

Khud ko dauraan e haal mein apne
Be tarah naa-gawaar the hum to

Tum ne hum ko bhi kar diya barbaad
Naadir e rozgaar the hum to

Hum ko yaroN ne yaad bhi na rakha
‘John’ yaaron k yaar the hum to

 John Elia

No comments:

Post a Comment