mere dil mere musafir
hoa phir se hukm saadir
k watan badar hon ham tum
den galli galli sadaen
karen rukh nagar nagar ka
k suragh koi paen
kisi yaar-e-naamaber ka
her ek ajnabi se pochen
jo pata tha apne ghar ka
sar-e-ku-e-nashanayan
hamen din se raat karna
kabhi is se baat karna
kabhi us se baat karna
tumhen kia kahon ke kia hai
shab-e-gham buri bala hai
hamen ye bhi tha ghaneemat
jo koi shumar hota
hamen kia bura tha marna
agar ek baar hota
hoa phir se hukm saadir
k watan badar hon ham tum
den galli galli sadaen
karen rukh nagar nagar ka
k suragh koi paen
kisi yaar-e-naamaber ka
her ek ajnabi se pochen
jo pata tha apne ghar ka
sar-e-ku-e-nashanayan
hamen din se raat karna
kabhi is se baat karna
kabhi us se baat karna
tumhen kia kahon ke kia hai
shab-e-gham buri bala hai
hamen ye bhi tha ghaneemat
jo koi shumar hota
hamen kia bura tha marna
agar ek baar hota
Faiz Ahmad Faiz ... London, 1978
No comments:
Post a Comment