dil mein ab youn tere bhoole hoe gham ate hain
jaise bichare hoe khwab mein sanam ate hain
ik ik kar ke hoe jaate hain taare roshan
meri manzil ki taraf tere qadam ate hain
raqs-e-may tez karo, saaz ki lay tez karo
su-e-maikhana safeeran-e-haram ate hain
kuch hamen ko nahi ehsan uthane ka dimaag
wo to jab ate hain maa'il-ba-karam ate hain
aur kuch der na guzre shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai wo yaad bhi kam ate hain
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment