Friday, November 15, 2013

ham bhi dekhen ge

dabegi kab talak awaz-e-adam, ham bhi dekhen ge
ruken ge kab talak jazbaat-e-barham, ham bhi
dekhen ge
chalo youn hi sahi ye jaur-e-paiham, ham bhi dekhen ge

dar-e-zindan se dekhen ya urooj-e-daar se dekhen
tumhen ruswa sar-e-bazar-e-aalam ham bhi dekhen ge
zara dam lo ma'aal-e-shaukat-e-jam ham bhi dekhen ge

ba-zom-e-quwwat-e-faulaad-o-aahan dekh lo tum bhi
ba-faiz-e-jazba-e-iman-e-mohkam ham bhi dekhen ge
jabeen-e-kaj-kulaahii Khaak par Kham ham bhi dekhen ge

mukaafaat-e-amal taareekh-e-insaan ki rawayat hai
karo ge kab talak naawak faraaham ham bhi dekhen ge
kahan tak hai tumhare zulm mein dam ham bhi dekhen ge

ye hangaam-e-widaa-e-shab hai aye zulmat ke farzando
sahar ke dosh par gulnaar parcham ham bhi dekhen ge
tumhen bhi dekhna hoga ye aalam ham bhi dekhen ge 

Sahir Ludhianvi

No comments:

Post a Comment