Friday, November 15, 2013

Aao k koi Khwaab bunen



Aao k koi Khwaab bunen, kal ke vaaste
warna ye raat, aaj ke sangeen daur ki
Das legi jaan-o-dil ko kuch aise k jaan-o-dil
taa-umar phir na koi haseen Khwab bun saken

go hamse bhaagti rahi ye tez-gaam umar
Khwaabon ke aasre pe katti hai tamaam umar

zulfon ke Khwaab, honton ke Khwaab, aur badan ke Khwaab
mairaaj-e-fan ke Khwaab, kamaal-e-sukhan ke Khwaab
tahzeeb-e-zindagii ke, farogh-e-watan ke Khwaab
zinda ke Khwaab, koocha-e-daar-o-rasan ke Khwaab

ye Khwaab hi to apni jawani ke paas the
ye Khwaab hi to apne amal ki asaas the
ye Khwaab mar gaye hain to be-rang hai hayaat
youn hai k jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat

aao k koi Khwaab bunen kal ke vaaste
warna ye raat aaj ke sangeen daur kii
Das legi jaan-o-dil ko kuch aise k jaan-o-dil
taa-umr phir na koii haseen Khwaab bun saken

No comments:

Post a Comment