Monday, November 18, 2013

garmi-e-shauq-e-nazzara ka asar to dekho


garmi-e-shauq-e-nazzara ka asar to dekho
gul khile jaate hain wo saya-e-dar to dekho

aise nadan to na the jaan se guzarne wale
naasiho, rahabar-o-rahguzar to dekho

wo to wo hain tumhen ho jaye gi ulfat mujh se
ek nazar tum mera mehboob-e-nazar to dekho

wo jo ab chaak garebaan bhi nahin karte hain
dekhne walo kabhi un ka jigar to dekho

daman-e-dard ko gulazar bana rakha hai
aao ek din dil-e-purkhon ka hunar to dekho

subah ki tarah jhamakta hai shab-e-gham ka ufaq
"Faiz" taabindagi-e-deeda-e-tar to dekho 

Faiz Ahmad Faiz

No comments:

Post a Comment