aiye haath uthaen ham bhi
ham jinhen rasm-e-dua yaad nahi
ham jinhen soz-e-mohabbat ke siwa
koi butt, koi Khuda yaad nahi
aiye arz guzaren k nigaar-e-hasti
zehar-e-imaroz mein sheereeni-e-fardan bhar de
wo jinhen tabe garan baari-e-ayyaam nahi
un ki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de
jin ki aankhon ko rukh-e-subh ka yaara bhi nahi
un ki raaton mein koi shama munawar kar de
jin ke qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahi
un ki nazron pe koi raah ujaagar kar de
jin ka deen pairavi-e-kazbo-riya hai un ko
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahqeeq mile
jin ke sar muntazir-e-tegh-e-jafa hain un ko
dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufeeq mile
ishq ka sarr-e-nihaan jaan-tapaan hai jis se
aaj iqaraar karen aur tapish mit jaye
harf-e-haq dil mein khatakta hai jo kante ki tarah
aaj izahaar karen or khalish mit jaye

Faiz Ahmad Faiz ... 14 August 1967
No comments:
Post a Comment