Thursday, March 21, 2013

Kisi maathe ka jhoomer banana hai

Kisi maathe ka jhoomer banana hai, Mujhe chaand churane do
Kisi anchal ko karna sohana hai, Mujhe chaand churane do

Kuttia mein andhera char su, aandhion se diya bujhne per
Ashkon ko larrion mein sajana hai, Mujhe chaand churane do

Gehn zada hai aaj ye keh kar mat behlao mujhe
Aaj hi to saman sohana hai, Mujhe chaand churane do

Mera geet suno aur so jao, rato ko jagne walo
Phir taaron ko bhi sulana hai, Mujhe chaand churane do

Suna hai sab alam hi motrif hai uss ki farhat ka
Mujhe bhi chandni mein nahana hai, Mujhe chaand churane do

Udas ji na behle ga ab kisi mutarrib geet se
Shab-o-roz yahi mera tarana hai, Mujhe chaand churane do

Unhon ne kaha mehfil mein tum bhi ana tohfa nayab le kar
Ab un ka maan barhana hai, Mujhe chaand churane do

No comments:

Post a Comment