Thursday, May 23, 2013

Saying goodbye

Saying goodbye
Was the hardest thing to do
I never thought I would
Especially not to you.

You always listened
And knew what to say
Knew when to give a hug
When I was having a bad day.

No one will ever take your place
I can always promise you this
It’s hard to find someone like you
So know you’ll always be missed

Dari sehmi , chup chaap c larki

Dari sehmi , chup chaap c larki
Apney angan main baseera tha jis'ka
Maan ki aagosh se bicher ker
Duniya k roz o shab main Tan'Tanha
Kuch Jani kuch pehchani , masoom c larki
Apney aapse Baygani
Dari sehmi chup chaap c larki

Bahir ki ''Duniya'' se anjani
Dhoop ki tapash se be'khabar
Kabhi khuwabon ''khayalon main basne wali
Ek din hoi ''Duniya'' se ash'na
Bharam toota , dar choota
Ash'kaar howa sab jhoal jhamayla
Nikli thi app'ney app'ko Talashney
Kho Gayi Gardash'e safar main Kahin

Mazboot howey Qadam , chaal dhaal b badli
Badla us'ka Rung roop sara
Pinjarey se nikal ker Urna Seekha
Pehchaney Rawiaye Aash'kaar howa Jeeney Ka ''Raaz'' Us per

Dari sehmi chup chaap c Larki
Kho Gayi kahin Gardash'e safar main

Milti hai Kabhi Tanhai main
Roti , bilakti khamosh labon o khushk ashkon sey
Kahne , sunn'ney ko kuch raha nahi Baqi
Qaid Hoi apni zaat ki Tanhai main
Woh dari sehmi chup chaap c larki ..........!!!

Wednesday, May 22, 2013

Kab tak dil ki khair mana'en

Kab tak dil ki khair mana'en, Kab tak rah dikhlao gay?
Kab tak chain ki mohlat do gay, Kab tak yaad na aao gay?

Beeta deed umeed ka mosam, Khaak urrti hai aankho'n mein
Kab bhejo gay dard ka baadal, Kab barkha barsao gay?

Ehd-e-wafa ya tark-e-muhabbat, Jo chaho so aap karo
Apny bus ki baat hi kia hai, hum se kia manwao gay. .

Kis ne wasl ka suraj dekha, Kis per hijr ki raat dhali
Gesu'on walay kon thy? kia thy? In ko kia jatlao gay?

'Faiz' Dilo'n k bhaag mein hai, Ghar bharna bhi, lut jana bhi
Tum us husn k lutf-o-karam per, kitny din itraao gay?

suno iltija hai itni

suno iltija hai itni
jab meri sansain
mera jism choor dain
jab aankhain weeran ho jain
jab main thak jaoon or gir jaoon
jab main tumhein pukaroon
or aawaz na day paoon jab mujhay jana ho
lootna hoo apnay khuda kay pass
aisay lamhay tum aajana ik
lamhay kay liye hi per dua kay liye
hath uthana meri sard
paishani pay apna hath rakhna
taasuf say sir hilana phir
mairay jinazay ko kandha daina
or apni dunia say door choor aana
bus sirf in chand lamhoon ka sakoon meri
zaindagi pay tumhara ehsan ho ga
kay tumhare hathoon ka
lams kaber main bhi mujh say juda na ho ga

Friday, May 17, 2013

KhwaabOn Ki Dekh Bhaal Mein Aankhien Ujar Gaien

KhwaabOn Ki Dekh Bhaal Mein Aankhien Ujar Gaien
tAnhAiyOn Ki DhOop Nay Chehray jAla Diye
LafzOn Kay jOrney Mein Ebarat Bikhar Chalii
Aaiyena dhOondney Mein Kaii Aks KhO Gaye
Aaye Na Phir wO lOat Kay Aik Baar jO Gaye …..
wO Din, wO WaQt, wO Rut, wO mOusam, wO Sarkashi
Aey Gardisht e Hayaat, Aey Raftaar e Mah O Saal
Kya Jamma Is Zameen Pey Nahien hOngey Phir Kabhi ?
jO hUmSafar Farak Kii Daldal Mein KhO Gaye
Patay jO Girr Kay PaiR Say RastOn Kay hO Gaye
Kya Phir Kabhi Na lOat Kay Aaye Gii wO Bahaar
Kya Phir Kabhi Na Aankh Mein Utray Gii wO Dhanak
Jis Kay WafOor e Rang Say jhAlkii hOii Hawa
Kartii hAi Aaj Tak
Aik Zulf Mein Sajay hOye PhOolon Ka Intezaar
Lamhay Zamaan e HijR Kay Phailay Kuch Is Trah
Degay e Rawaan e dAsht Ki Tamsaal hO Gaye
Is dAsht e Pur Saraab Mein Bhatkay hAin Kuch Is Qadar
Naqsh e Qadam Thay Jitnay Bhi Pamaal hO Gaye
Ab tO Kahien Khatam hO Rasta gUmaan Ka
SheeShay Mein Dil Kay Sarey YaQeen Baal hO Gaye
Jis Waqe’ay Nay Aankh Say Cheenii Thii Meri Neend
Us WaQe’ay kO Ab tO Kaii Saal hO Gaye

Thursday, May 16, 2013

Wafa Kay Waday Woo Saray Bhula Gaya Chup Chap

Wafa Kay Waday Woo Saray Bhula Gaya Chup Chap Wo Meray Dil Ki Dewarein Heela Gaya Chup Chap
Gham-e-Hayaat Kay Taptay Howay Bayanban Main Wo Mujh Ko choor Kay Tanha Chala Gaya Chup Chap
Na Jannay Koun Sa Wo Badnaseeb Lamha Tha Jo Ghum Ki Aag Mai Mujh Ko Jala Gaya Chup Chap
Mai Jis Ko Chuta Hon Eshrat Wo Zakhm Dayta Hay Wo Phool Aisay Chaman Mai Khila Gaya Chup Chap

Wednesday, May 15, 2013

Suno Ae Bewafa Mery

Is Baras Bhi
Sham ki Dehleez par
Mom Batti ki jagha aankhen jalin
Is Baras bhi kya Qayamat khez Tanhai thi
Jis ki Maiz par Birthday ka cack rakhty he
Kei Barbaar Umeeden _________ Kei Be Aas Yaden
Sar Jhukaye,
Hath men kuch Motiye k phool, kuch tohfy gulabon k liye
Saf Ba Saf Deevaar e Jaan se aa lagin
Kitni baten aaj k din k hawaly se
Mery Charon taraf
Apny Maani ki ghalat tarseel par
Roti rehin
Kitny shaminda se Wady
Mery Seeny men Chupy Zakhmon ko apny
Ansuon k itar se dhoty rehy ___________ Roty rehy
Or men is kamra e dil men
Apny Birthday k Cack k Seeny se lag kar
Khud ko Happy Birthday kehta raha
Apni Ghurbat ki Qasam
Tujh ko Dua deta rha
Or tum jany kahan kis Dais men
Apni wafa ki saltanat k Shahzady ko liye
Ik Libas-e-Khushbu-e-Zartaab Zaib-e-Tan kiye
Doston or qeemti tohfon k jhurmat men
Hazaron Khahishon or sainkron khoabon ki tabeeron ki mehfil men
Tumhen Mazi ki koi sham ______ Koi Dopehar b yaad ho na yaad ho
Or tumhen ik chehra-e-Be-Khal-o-Khad bhi yaad ho na yaad ho
lekin
Suno Ae Bewafa Mery,

Mujhy kuch bhi nehin Bhoola ...
Mujhy kuch bhi nehin Bhoola ...