Suno Ae Bewafa Mery
Is Baras Bhi
Sham ki Dehleez par
Mom Batti ki jagha aankhen jalin
Is Baras bhi kya Qayamat khez Tanhai thi
Jis ki Maiz par Birthday ka cack rakhty he
Kei Barbaar Umeeden _________ Kei Be Aas Yaden
Sar Jhukaye,
Hath men kuch Motiye k phool, kuch tohfy gulabon k liye
Saf Ba Saf Deevaar e Jaan se aa lagin
Kitni baten aaj k din k hawaly se
Mery Charon taraf
Apny Maani ki ghalat tarseel par
Roti rehin
Kitny shaminda se Wady
Mery Seeny men Chupy Zakhmon ko apny
Ansuon k itar se dhoty rehy ___________ Roty rehy
Or men is kamra e dil men
Apny Birthday k Cack k Seeny se lag kar
Khud ko Happy Birthday kehta raha
Apni Ghurbat ki Qasam
Tujh ko Dua deta rha
Or tum jany kahan kis Dais men
Apni wafa ki saltanat k Shahzady ko liye
Ik Libas-e-Khushbu-e-Zartaab Zaib-e-Tan kiye
Doston or qeemti tohfon k jhurmat men
Hazaron Khahishon or sainkron khoabon ki tabeeron ki mehfil men
Tumhen Mazi ki koi sham ______ Koi Dopehar b yaad ho na yaad ho
Or tumhen ik chehra-e-Be-Khal-o-Khad bhi yaad ho na yaad ho
lekin
Suno Ae Bewafa Mery,
Mujhy kuch bhi nehin Bhoola ...
Mujhy kuch bhi nehin Bhoola ...
No comments:
Post a Comment