Saturday, November 16, 2013

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chor ke jane ke liye aa

pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa

kis kis ko bataen ge judai ka sabab ham
tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye aa

kuch to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa

ek umar se hon lazzat-e-giriya se bhi maharom
aye rahat-e-jaan mujh ko rulane ke liye aa

ab tak dil-e-Khush_feham ko tujh se hain umeeden
ye aakhri shammen bhi bujhane ke liye aa

mana k mohabbat ka chupana hai mohabbat
chupke se kisi roz jatane ke liye aa

jaise tujhe ate hain na ane ke bahane 
aise hi kisi roz na jane ke liye aa

Ahmad Faraz

No comments:

Post a Comment