Mujh ko yaqeen hai sach kehti thin jo bhi ammi kehti thin
jab mere bachpan ke din the chaand mein pariyaan rehti thin
ik ye din jab apnon ne bhi hum se rishta tor liya
ik wo din jab pairh ki shaakhen bojh hamara sehti thin
ik ye din jab laakhon Gham aur kaal para hai aansoo ka
ik wo din jab ek zara si baat pe nadiyan behti thin
ik ye din jab saari sarken roothi roothi lagti hain
ik wo din jab 'aao khelen' saari galliyan kehti thin
ik ye din jab jaagi raaten diwaron ko takti hain
ik wo din jab shaakhon ki bhi palken bojhal rehti thin
ik ye din jab zehan mein saari ayyari ki baaten hain
ik wo din jab dil mein saari bholi baaten rehti thin
ik ye ghar jis ghar mein mera saaz-o-saamaan rehta hai
ik wo ghar jis mein meri boorhi naani rehti thin

Javed Akhtar
No comments:
Post a Comment