Ab wo karam karen k sitam, main nashe mein hon
mujh ko na koi hosh na Gham, main nashe mein hon
seene se bojh un ke Ghamon ka utaar ke
aya hon aaj apni jawani ko haar ke
kehte hain Dagmagate qadam, main nashe mein hon
wo bewafa hain ab bhi ye dil manta nahi
kam bakht na-samajh hai unhen janta nahi
main aaj tor don ga bharam, main nashe mein hon
fursat nahi hai rone rulane ke vaste
aye na un ki yaad satane ke vaste
is waqt dil ka dard hai kam, main nashe mein hon

Sahir Ludhianvi
No comments:
Post a Comment