Friday, November 15, 2013

bhool sakta hai bhala kaun?

Bhool sakta hai bhala kaun ye piyari ankhen
rang mein Doobi hoi neend se bhaari ankhen
bhool sakta hai bhala kaun?

meri har sans ne, har soch ne chaha hai tumhen
jab se dekha hai tumhen tab se saraha hai tumhen
bas gai hain meri ankhon mein tumhari ankhen
rang mein Doobi hoi, neend se bhaari ankhen
bhool sakta hai bhala kaun?

tum jo nazron ko uthao to sitaare jhuk jaen
tum jo palkon ko jhukao to zamane ruk jaen
kiyoun na ban jaen in ankhon ki pujari ankhen
rang mein Doobi hoi, neend se bhaari ankhen
bhool sakta hai bhala kaun?

jagti raaton ko sapnon ka Khazana mil jaye
tum jo mil jao to jeene ka bahana mil jaye
apni qismat pe kare naaz hamari ankhen
Bhool sakta hai bhala kaun ye piyari ankhen

rang mein Doobi hoi neend se bhaari ankhen
bhool sakta hai bhala kaun?

No comments:

Post a Comment