Thursday, November 21, 2013

kuch pehle in aankhon aage

kuch pehle in aankhon aage kya kya na nazara guzre tha
kya raushan ho jatii thi galli jab yaar hamara guzre tha

the kitne ache log k jin ko apne Gham se fursat thi
sab pochen the ahwal jo koi dard ka maara guzre tha

ab ke to khizan aisi Thehri wo saare zamane bhol gaye
jab mausam-e-gul har phere mein aa aa ke dubara guzre tha

thi yaaron ki bohtaat to ham aghyaar se bhi bezaar na the
jab mil baithe to dushman ka bhi saath gawara guzre tha
 
ab to haath sujhai na deve lekin ab se pehle to
aankh uthate hi ek nazar mein aalam sara guzre tha 

Faiz Ahmad Faiz

No comments:

Post a Comment