kuch muhtasibon ki Khilawat mein, kuch wa-iz ke ghar jati hai
ham baada-kashon ke hisse ko ab jaam mein kam kam ati hai
youn arz-o-talab se kab ai dil pathar-dil pani hote hain
tum laakh raza ki Khu Dalo kab Khu-e-sitamgar jati hai
bedaad-garon ki basti hai yahan daad kahan fariyaad kahan
sar phorti phirti hai naadan fariyaad jo dar dar jati hai
haan ji ke zayan ki ham ko bhi tashveesh hai lekin kia kijiye
har raah jo udhar ko jati hai, maqtal se guzar kar jati hai
ab koocha-e-dilbar ka rah-rau rahzan bhi bane to baat bane
pahare se uduu Talate hi nahi aur raat barabar jati hai
ham ahl-e-qafas tanha bhi nahi har roz naseem-e-subah-e-watan
yaadon se muattar ati hai, ashkon se munawar jati hai
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment