meri teri nigah mein jo laakh intezar hain
jo mere tere tan badan mein laakh dil figaar hain
jo meri teri ungaliyon ki be-hissi se sab qalam nazaar hain
jo mere tere shehar ki har ik galli mein
mere tere naqsh-e-pa ke be-nishan mazaar hain
jo meri teri raat ke sitaare zakhm zakhm hain
jo meri teri subah ke gulaab chaak chaak hain
ye zakhm saare be-dawa, ye chaak saare be-rafu
kisi pe raakh chaand ki kisi pe os ka lahu
ye hain bhi ya nahi bata
ye hai k mehz jaal hai
mere tumhare ankaboot-e-vehm ka buna hoa
jo hai to is ka kya karen
nahi hai to bhi kya karen
bata, bata, bata, bata
Faiz Ahmad Faiz

No comments:
Post a Comment