ham sada hi aise the, k youn hi pazeerai
jis baar khizan ai, samjhe k bahaar ai
aashob-e-nazar se ki ham ne chaman-aarai
jo shay bhi nazar ai gul-rang nazar ai
umeed-e-talattuf mein ranjeeda rahe dono
tu aur teri mehafil mein aur meri tanhai
wahan millat-e-bul-havasaan aur shor-e-wafaa jui
yahan khilwat-e-kam-sukhanan aur lazzat-e-ruswai
yak-jaan na ho sakiye anjan na ban sakiye
youn toot gai dil mein shamasheer-e-shanasai
is tan ki taraf dekho jo qatl-gah-e-dil hai
kia rakha hai maqtal mein ai chashm-e-tamashai
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment