chand roz aur meri jaan faqat chand hi roz
zulm ki chaandni mein dam lene per majabor hain ham
ik zara aur sitam seh len tarap len ro len
apne ajdaad kii meeras hai maazor hain ham
jism per qaid hai jazbat pe zanjeeren hain
fikr mahboos hai guftaar pe taazeeren hain
aur apni himmat hai k ham phir bhi jiye jaate hain
zindagi kia kisi muflis ki qabaa hai
jis mein her ghari dard ke paiband lage jaate hain
lekin ab zulm ki miyaad ke din thore hain
ik zara sabar ki fariyad ke thore hain
arsaa-e-dahar ki jhulsi hoi veerani mein
ham ko rehna hai per yun hi to nahi rehna hai
ajnabi haathon ka benaam garaan-baar sitam
aaj sehna hai hamesha to nahi sehna hai
ye teri husn se lipati hoi aalaam ki gard
apni do roza jawani ki shikaston ka shumaar
chaandni raaton ka bekaar dahekta hoa dard
dil ki besood tarap jism ki mayus pukaar
chand roz aur meri jaan faqat chand hi roz
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment