Monday, November 18, 2013

aaj ke naam

aaj ke naam
aur
aaj ke Gham ke naam
aaj ka Gham k hai zindagi ke bhare gulasitaan se khafa
zard patton ka ban
zard patton kaa ban jo mera des hai
dard ka anjuman jo mera des hai
kilarkon ki afsurda janon ke naam
kirm_Khurda dilon aur zabanon ke naam
post-manon ke naam
Tange walon ke naam
rel_baanon ke naam
kaar Khaanon ke bhole jiyalon ke naam
baad shaah-e-jahan, waali-e-maasiva, nae_bullaah-e-fil-arz, dahakan ke naam

jis ke Dhoron ko zaalim hanka le gaye
jis ki beti ko Daaku utha le gaye
haath bhar khet se ek angusht patavaar ne kaat li hai
dosri maaliye ke bahaane se sarakaar ne kaat li hai
jis ke pag zor walon ke paanon talle
dhajjiyan ho gayi hai

un dukhi maaon ke naam
raat mein jin ke bachche bilakte hain aur
nend ki maar khaaye hue baazo'on se sanbhalte nahi
dukh bataate nahi
minnaton zaariyon se behalte nahi

un haseenaaon ke naam
jin ki aankhon ke gul
chilmanon aur dareechon ki belon pe bekaar khil khil ke
murjha gaye hain
un byaahataaon ke naam
jin ke badan
be_mohabbat riyakaar saijon pe saj saj ke ukta gaye hain
bewaaon ke naam
katadiyon aur galiyon, muhallon ke naam
jin ki na paak khaashaak se chaand raaton
ko aa aa ke karta hai aksar wazu
jin ki saayon mein karti hai aaho-baka
aanchalon ki hina
chooriyon ki khanak
kaakulon ki mehak
aarzumand seenon ki apne paseene mein jalne ki bu

parhne waalon ke naam
wo jo asahaab-e- tablo-alam
ke daron per kitaab aur qalam
ka takaza liye, haath phailaye
ponche, magar laut kar ghar na aye
wo ma'asoom jo bhole pan mein
wahan apne na.nhe chiraghon mein lau ki lagan
le ke ponche jahan
banT rahe the ghata toop, be-ant raaton ke saaye
un aseeron ke naam
jin ke seenon mein farda ke shabataab gauhar
jail khaanon ki shoreeda raaton ki sar-sar mein
jal-jal ke anjum-numan ho gaye hain

aane wale dinon ke safeeron ke naam
wo jo Khushbu-e-gul ki tarah
apne paigham per Khud fida ho gaye hain 


*Left incomplete by Faiz Ahmad Faiz*

No comments:

Post a Comment