Aap apna Ghubaar the hum to
Aap apna Ghubaar the hum to
Yaad they,yaadgaar the hum to
Pardagi! hum se kyuN rakha parda
Tere hi pardaa-daar the hum to
Waqt ki dhoop mein tumhare liye
Shajar E saayaa daar the hum to
URte jaate hain dhool ki manind
AaNdhiyoN par sawaar the hum to
"Hum ne kyuN khud pe aetebaar kiya"
Sakht be-aetebaar the hum to
KyuN hamain kar diya gaya majboor
Khud hi be-ikhtiyaar the hum to
Tum ne kaise bhulaadiya hum ko
Tum se hi musta’aar the hum to
Khush na aaya hamain jiye jaana
Lamhe lamhe pe baar the hum to
Seh bhi lete hamaare ta’anoN ko
Jan e man, jaaN nisaar the hum to
Khud ko dauraan e haal mein apne
Be tarah naa-gawaar the hum to
Tum ne hum ko bhi kar diya barbaad
Naadir E rozgaar the hum to
Hum ko yaroN ne yaad bhi na rakha
‘Jaunn’ yaaroN ke yaar the hum to
No comments:
Post a Comment