Thursday, March 21, 2013

Usse apne farda ki fikir thi

Use apne farda ki fikar thi
wo jo mera waqif-e-haal tha

Wo jo uski subha urooj thi
wahi mera waqt-e-zawal tha

Mera dard kese wo jaanta
meri baat kese wo maanta

wo to khud fana k safar me tha
use rokna bhi mohal tha

Wo jo is k samne agaya
wahi roshni me naha gaya

Ajab iski hebat thi
ajab iska rang-e-jamaal tha

Dame wapsi are kiya hua
na wo roshni na wo tazgi

Wo sitara kese bikhar gaya
wo to aap apni misaal tha
Kahan jao gay mujhe chor kar
me ye puch puch k thakh gaya

Wo jawab mujhko na de saka
wo to khud sarapa sawal tha

Wo mila to sadyon k baad bhi
mere lab pe koi gila na tha

Use meri chup ne rula diya
jise guftagu me kamaal tha

Wo jo mujh se mil k ro diya
faqat itna hi mujhe keh saka

jise janta tha me zindagi
wo to sirf wehm-o-khayal tha..

No comments:

Post a Comment