Saaz-o-awaz, khad-o-khaal mein aa jate hain
saans leta hon to surr taal mein aa jate hain
jang aur ishq mein haare how logoon ki trah
ham ghaneemat k kisi maal mein aa jate hain
zindagi khawb ha aur khawb ki qeemat lene
jin ko ana ho kisi haal mein aa jate hain
tu bhi sada ha kabhi chaal badalta hi nahi
ham bhi danista teri chaal mein aa jate hain
sham dhalte hi kisi gosha-e-weeran mein
ham prindon ki trah jaal mein aa jate hain

No comments:
Post a Comment