Manzaleen aik si hain, awargian aik si hain
mukhtalif ho k bhi sab zindagian aik si hain
koi maqasid ho k nasih, koi ashiq ki adu
sab ki uss shokh se wabastagian aik si hain
dasht-e-majnoon na sahi taisha-e-farhad sahi
safar-e-ishq mein wa'mandgian aik si hain
ye alag bat k ehsas juda hon warna
rahaten aik si hain, afsurdagia aik si hain
wasal ho, hijar ho, qurbat ho k doori ho
sari kaifiayaten, sab tishnagian aik si hain

No comments:
Post a Comment