Friday, March 29, 2013

Kash main tere haseen hath ka kangan hota

Kaash mein tere haseen haath ka kangan hota
Tu bare piyaar se chao se barey maan k saath

Apni nazuk kalayee mein charhati mujh ko
Aur betaabi se furqat k khizaan lamhon mein

Tu kisi soch mein doobi jo ghumati mujh ko
Mein tere haath ki khushbu se mehek sa jata

Jub kabhi mood mein aa kar mujhe chooma karti
Tere honton ki mein jiddat se dehek sa jata

Raat ko jub bhi tu neendon k safar par jaati
Marmareen haath ka ik takiya banaya karti

Mein tere kaan se lag kar kayee baatein karta
Teri zulfon ko tere gaal ko chooma karta

Jub bhi tu Band-e-Quba kholne lagti janaa
Apni ankhon ko tere husn se kheera karta

Mujh ko betaab sa rakhta teri chahat ka nasha
Mein teri rooh k gulshan mein mehekta rehta

Mein tere jism k angan mein khanakta rehta
Kuchh nahin to yahi be-naam sa bandhan hota

Kaash mein tere haseen haath ka kangan hota

No comments:

Post a Comment