Saturday, November 9, 2013

Mujhe duaon mein yad rakhna

Shiksta khawab o shiksta pa hon Mujhe duaon mein yad rakhna
Main akhri jang lar raha hon Mujhe duaon mein yad rakhna

Hawaen pegham de gai hain k mujh ko driya bula raha hai
Main baat sari samjh gaya hon Mujhe duaon mein yad rakhna

Na jane kofay ki kaya khabar ho na janay kis dasht mein basar ho
Main phir madine se ja raha hon Mujhe duaon mein yad rakhna

Mujhe aziz zany man! muhabat ko koi b tajurba nahi
Main is safar main naya naya hon Mujhe duaon mein yad rakhna

Mujhe ab kisi se bhalai ki koi tawaqa nahi hai Tabish
Main adat tan sub se keh raha hon mujhe duaon mein yad rakhna

 Abbas Tabish

Tere gumnam ager naam kmanay lag jayen

Tere gumnam ager naam kmanay lag jayen
Sharf o shewa tasleem thikanay lag jayen

Jis trah noor se payda hain jahane ishiya
Ik nazar dal ker hum bhi nazar anay lag jayen

Ye bhi mumkin hai koi roknay wala he na ho
Ye bhi mumkin hai yaha muj ko zamanay lag jayen

Dekh ay husney frawan ye bhi mumkin hai
Mera del tak na lagay tere khazanay lag jayen

Jin k honay se hai mashrot hamara hona
Apnay honay ka na ahsas dilanay lag jayen

To muhabat ki gharz lamha mojood main rakh
Tere zimay na mere dard poranay lag jayen

Ye muhabat na kahen rad e amal ban jayen
Hum tere bad na koi zulm dhanay lag jayen

Kar e duniya bhi ajab hai k meray ghar walay
Din niklatay he meri khabar manany lag jayen

Pass he doob rahi hai koi kashti tabish
Khod nahi bachti ager is ko bachanay lg jayen

 Abbas Tabish

Wo Bholta hai na dil mein utarta hai mujhe

Wo Bholta hai na dil mein utarta hai mujhe
Hamesha maar mohabbat ki marta hai mujhe

Main us ka lamha mojod hon magar who shakhs
Fazol waqat samajh kar guzarta hai mujhe

Bazahar aisa nahi pairh is hawaili ka
Hawa chale to bahot phool marta hai mujhe

Main is k hath mein jata hon mal o zar ki tarah
Wo rooz qarz samajh kar utarta hai mujhe

 Abbas Tabish

Ye un dino ka zikar hai ik badsha tha

Ye un dino ka zikar hai ik badsha tha
Jis ki nazar main zindgi karna gunah tha


Shoq e marjat ki waha urth rahi tha khak
Kashti jali hoi thi kinara sayah tha


Main us k sath phirta tha kasre qaseem main
Is doti ka ik kabotar gawa tha


Betha tha is pay chand kisi cheel ki taraha
Kitna land shahar main nakhle gunah tha


Totay paro ka taj meri yadgar hai
At kaj kala main bhi kabhi kaj kala tha


Ahlay hunar ko meri raror thi jin dino
Takiya faqeer ka meri ama jaga main tha

Abbas Tabish

Ye bara saal pahlay ki kahani hai

Ye bara saal pahlay ki kahani hai
K jab sarso ki gandal tha badan mera
Hawa muj ko khilati thi
Mujay charkhay ki khokhar se hi gahri nind ati thi
Dahan main sheer madar ki mahak k akhri din thay
Jawani jhil milati thi
Meri ankhon meray hatho meray pero main bosay thay
Meri maan muskurati thi

Ye baran saal pahlay ki kahani hai
Main apnay ap main rahta tha jese phol main khushbu
Mujay ik naam ghar ki trah mitha tha ab bhi hai
Is ki shakrain chub main
Kahani lo barati thi
Ye baran saal pahlay ki kahani hai
Main hatho se gira harfe dua ban kar
Magar boso bhari shafqat tasali dhond lati thi
Na main sardo ki gandal tha
Na muj ko nind ati thi
Ajab c bay sbasi thi
Phir ik din bay gari muj ko meray ghar se nikal i
K jesay ankh se anso nikal ker phir nahi ata
Tujay to sab khabar ho gi
Mujay malk juno miras main day ker koi wapas plat aya
Wahan ki jagti ratain
Ser khama utarti nind ki khatain
Wo daftar main paray pather kleb se phot ti batain
Na main sardo ki gandal tha
Na ab charkhay ki khokhar thi k muj ko nind a jati
Pari muj ko dra jati

Ye bara roz pahalay ki kahani hai
Mujay gari ne station pay la phaynka
To mera shahar hi gum tha
Meri pahchan he gum thi
Meray dukh se bhara tanga gaya jab raylay bazar ki janib
Mera ghar bhi meray bachpan ki sorat
Gard guzran main kahin gum tha
Phir ik shahtot ki chao se pocha apnay baray main
Kisi saya kay nakshay ki sorat khul gaya muj per
Na is main mera bachpan tha
Na meray khana zado ki nishani thi
Phir ik dokan pay lat ki hoi tasveer se pocha
Tujay to sub khabar hogi
Yayan Abbas Tabish naam ka aik shakas rahata tha
Kahan hai wo
Na ba sarso ki gandal
Na wo charkhay ki khokhar
Magar ab band darwazay pay dundlay naam ki takhti
Meray gar ki nishani hai
Ye meray aaj k din ki kahani hai

Abbas Tabish

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kiyon Nahi Jata

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kiyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kiyon Nahi Jata

Sab Kuch To Hai, Kiya Dhundti Rahti Hai Nigahen
Kiya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kiyon Nahi Jata

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kiyon Nahi Jata

Main Apni Hi Uljhi Hoi Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kiyon Nahi Jata

Woh Naam Jo Barson Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawab Agar Hai To Bikhar Kiyo Nahi Jata

Abbas Tabish

Friday, November 8, 2013

Tu ne phir thukra diya to kia hoa

Tu ne phir thukra diya to kia hoa
Zakham phir taza hoa to
kia hoa

Apne milan mein aik haan ki dair thi
Tujh se woh bhi na hoa to kia hoa

Aik sada dil tumhare ishq mein
Be waja ruswa hoa to
kia hoa

Tere jaane se hoa kuch to nahi
Dard agar ziada hoa to
kia hoa

Jis ko chaaha ham ne sari zindagi
Woh hamara na hoa to
kia hoa

Aur bhi hon gai ehl-e-dil
Main agar tanha hoa to kia hoa