Wednesday, December 4, 2013

Main louton ga december mein

December jab bhi ata hai
Wo pagli
Phir se beete mosamon ki
Talkhion ko yaad karti hai
Purana card parhti hai
K jis mein ws ne likha tha

Main louton ga december mein

Naye kapre banati hai
Wo sara ghar sajati hai
December ke her ek din ko
Wo gin gin ker bitati hai
Jonhi 15 guzarti hai
Wo kuch kuch toot jaati hai
Mager phir bhi
Purani album ko khool ker
Mazi bolati hai
Nahi maloom ye is ko
K beete waqt ki khushian
Bahot takleef deti hain
Mehz dil ko jalati hain

Yonhi din beet jaate hain
December lout jata hai
Magar wo khush-fehm si larki
Dobara se calender mein
December ke maheene ke
Safhe ko moor ker phir se
December ke saher mein doob jati hai
Ke akhir us ne likha tha

Main louton ga december mein

No comments:

Post a Comment