Wednesday, December 4, 2013

December ab Bhi Tera muntazir Hai

December Ab bhi Tera muntazir Hai

woh Lamhay Soch Ki Dahleez Pay Tehray Hoy hain

December K mahenay mein Hazaroon Saal Pehlay Jab

Teray Waday K Honatoon Ne  
 meri Ankhoon Say Behti Zindagi K Hanth Choomay Thay


meri Bay-rang Baton K Kinaray
Tum Nay Khawabon K
Sahary or Ashkon K Sitaray Rakh Diye Thay


aur
Hawa Ko apni Chahat Ki
Hifazat Ka Ishara Kar Diya Tha

Hawa Ki Khunkiyon mein ab Bhi Teri naram batain
aahatoon Kaa Jaal Buntee Hian


Sama'at ab Bhi Teray
Qehqahon Ka Shoor Sunti Hay


Khayal ab Tak Tumhari Ungliyon Say
meray Dil K Surkh Ansoo Pochta Hay


Nigahain Baraf K Phelay
chamaktay Kenwas Par Jaa-Bajaa
Teri Rifaqat Ki Zarorat Paint Karti Hay


Tehtartay Paniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop
Tera Bagair rooti Hay
Kahan Hota Hay To
Muhabat Ki Sulagtei rahguzar K Kinaray Pay


December ab Bhi Tera muntazir Hai

No comments:

Post a Comment