mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na maang
main ne samjha tha k tu hai to darakhshaan hai hayaat
tera Gham hai to Gham-e-dehar ka jhagrha kya hai
teri sorat se hai aalam mein bahaaron ko sabaat
teri aankhon ke siwa duniya mein rakha kya hai
tu jo mil jaye to taqdeer nigon ho jaye
youn na tha main ne faqat chaha tha youn ho jaye
aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
raahaten aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa
mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na maang
anginat sadiyon ke taareek bahimaanaa talism
resham-o-atalas-o-kam_Khawb mein bunwaye hoe
jaa-ba-jaa bikte hoye koocha-o-bazar mein jism
Khaak mein lithrhe hoye khoon mein nehlaye hoye
jism nikle hoye amraaz ke tannooron se
peep behti hoi galte hoye na-sooron se
laut jati hai udhar ko bhi nazar kya kijiye
ab bhi dil-kash hai tera husn magar kya kijiye
aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
raahaten aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa
mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na maang
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment