Sunday, November 24, 2013

Jab wo ik shakhs dastras mein tha

Jab wo ik shakhs dastras mein tha

us se milna tumhare bus mein tha

us ki aankhen tumhari aankhen theen

us ki baaten tumhari baaten theen

us ka chehra tumhara chehra tha

us k dil per tumhara pehra tha

us ki her sans mein basi theen tum

us k her lafz mein khili theen tum

us k sapnoon mein bhi rachi theen tum

us ki neendoon mein jagti theen tum

wo jo kehta tha be-qarari hai

meri sari wafa tumhari hai

sirf tum say mujhay muhabbat hai

sirf tum se meri haqeeqat hai

kitni baaten mein keh nahi sakta

door tum se mein reh nahi sakta

tab tum us k her aik jumle ko

tab tum us k her aik jazbe ko

ik hansi mein urraya karti theen

sun k tum bhool jaya karti theen

us ki aankhoon dekhti jab wo

be-niyazi k dard sehta tha

bhool jana tumhari a'adat thi

phir bhi kitna malol rehta tha

apni tanha'i k galay lag ker

sare aansoo wo ro gaya ik din

aik pathar se dil lagi ker k

khud bhi pathar ka ho gaya ik din

ab wo tum se to kuch nahi kehta

be-nayazi k dukh nahi sehta

us ki aankhen ab us ki aankhen hain

us ki baaten ab us ki baaten hain

bhool jana tumhari a'adat hai

us ki baatoon ko bhool jaoo na!!

ab wo ik shakhs dastras mein nahi

us se milna tumhare bus mein nahi

kis liye ab udas bethi ho?

No comments:

Post a Comment