Wednesday, April 3, 2013

ab ka hum bichray to shayed

ab ka hum bichray to shayed kabhi kavaboon main milain
jis tarha sukhay huay phool kitaboon main milain...

dhoond ujray huay logoon main wafa ka motii
yeh khazany tujhe mumkin hai kharaboon main milain...

gham-e-duniya bhi gham-e-yaar main shamil kar lo
nasha barhta hai sharabain jo sharaboon main milain...

tu khuda hai na mera ishq farishtoon jaisa
dono insan hain to kyun itnay hijaboon main milain...

aaj hum dar pe khanchay gay jin batoon per
kya ajab kal woh zamany ko nisaboon main milain...

ab na main woh hun , na tu hai , na woh mazi hai FARAZ
jaisy do saye tamana ka saraboon main milain...!!

No comments:

Post a Comment