Wednesday, April 3, 2013

aankh se door na ho dil se utar jaye ga

aankh se door na ho dil se utar jaye ga
Waqt ka kia hai guzarta hai guzar jaye ga

itna manoos na ho Khilwat-e-Gham se apni
tu kabhi Khud ko bhi dekhe ga to dar jaye ga

tum sar-e-rah-e-wafa dekhte reh jao ge
aur wo baam-e-rafaqat se utar jaye ga

zindagi teri ata hai to ye jane wala
teri baKhshish teri dehleez pe dhar jaye ga

doobte doobte kashti ko uchala de don
main nahi koi to sahil pe utar jaye ga

zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka Faraz
zalim ab ke bhi na roye ga to mar jaye ga

No comments:

Post a Comment