Phoolon se hoti hoti rukh-e-yaar tak gai
Her shakhs ki nazar mere mayar tak gai
Ye faisla to waqt hi kar paye ga kabhi
Kis kis ki fikir jurrat-e-izhar tak gai
Jab bhi ghazal ka mujh se koi sher ho gia
Ahbab ki nazar mere kidaar tak gai
Ghairat ka souda kar gaye faqon se marte log
Fikir-e-moash jubba-o-dastar tak gai
Aalam-e-rozgaar ne ruswa kia mujhe
Rodaad-e-ishq jab tere inkar tak gai
Yousuf nahi tha phir bhi kai bar main bika
Uss ki galli bhi misr k bazar tak gai
Kahan se aa gaeen lehje mein talkhiyan?
Sot-o-sada ki kaat bhi talwar tak gai
No comments:
Post a Comment