Chashm-e-girya mein wo selab the aye yar k bas
garcha kehte rahe mujh se mere gham khawar k bas
ghar to kia ghar ki shabahat bhi nahi hai baqi
aise weeran hoe hain dar-o-deewar k bas
zindagi thi k qayamat thi k furqat teri
aik ik saans ne wo wo diye aazar k bas
iss se pehle bhi mohabbat ka qareena tha yahi
aise behaal hoe hain magar iss bar k bas
log kehte the faqat aik hi pagal ha Faraz
aise aise hain mohabbat mein giriftar k bas

No comments:
Post a Comment