Wednesday, April 3, 2013

ab k tajdid e wafa ka nahin imkan janan

ab k tajdid e wafa ka nahin imkan janan
yaad kia tujh ko dilayen tera peman janana

yuonhi mausam ki ada dekh k yaad aya hy
kis qadar jald badal jatay hen insan janan

zindagi teri ata thi so teray naam ki hay
hum nai jesay bhi basar ki tera ehsaan janaan

dil ye kehta hy k shayed ho fasurda to bhi
dil ki kia b aat karen dil to hay nadan janan

No comments:

Post a Comment