Thursday, March 14, 2013

Sulag raha hon main dheere dheere

Sulag raha hon main dheere dheere, magar kisi per ayan nahi ha
wo aag dil mein lagi ha jis mein, tapish ha lekin dhuwan nahi ha

tumhare gham ne sikha dia ha, mujhe her ik gham se piar karna
gham-e-jahan bhi yaqeen mano, mizaj-e-dil per giran nahi ha

KHUDA ki basti mein her qadam per, koi ha giryan kisi k gham mein
ye dard to dard-e-mushtarik ha, yahan ankh purnam kahan nahi ha

mata-e-umar-e-aziz sari, ganwa chuke per safar ha jari
ajeeb soda ha aashqi ka, k fikr-e-sood-o-ziayan nahi ha

meri khamoshi pe hansne walo, ye bhol kar bhi na soch lena
k mere k mere pehlu mein dil nahi ha, k mere munh mein zuban nahi ha

No comments:

Post a Comment