Friday, March 15, 2013

Charagh mangte rehne ka koi sabab nahi

Charagh mangte rehne ka kuch sabab bhi nahi
andhera kese bataye k ab to shab bhi nahi

ye dastaken, ye meri zindagi ki aadhi raat
hawa ka shor samajh lo to kuch ajab bhi nahi

jo mere shairon mein mujh se ziada bolta ha
main uss ki bazm mein ik harf0e0zair-e-lab bhi nahi

hisab-e-dar badari tujh se mang sakta ha
ghareeb-e-shehr magar itna be-adab bhi nahi

hamen bahot ha ye sadat-e-ishq ki nisbat
k ye qabeela kuch aisa kam nasab bhi nahi

ajeeb shakhs tha jis ne mujhe tabah kia
khilaf uss k ye dil ho saka ha ab bhi nahi

No comments:

Post a Comment