"مجھے تم سے محبّت ہے"
کسی کو اتنا کہنا
یا
کسی سے اتنا سن لینا
کبھی کافی نہیں ہوتا
محبّت کے لیے اس دور میں بہت کچھ چاہیے جاناں !
اور
بنگلہ، کار، اچھّی جاب
ضرورت کی تو چیزیں ہیں
اگر یہ پاس نہ ہوں
تو
"مجھے تم سے محبّت ہے"
کا یہ فرسودہ سا جملہ
بہت فرسودہ لگتا ہے
محض اِک دھوکہ لگتا ہے
محبّت ویسے بھی احساس کرنے
خیال رکھنے
کا نام ہی تو ہے
اگر تم یہ سمجھتی ہو
"محبّت اندھی ہوتی ہے"
تو اتنا جان لو جاناں !
یہ دیوانوں کی باتیں ہیں
پروانوں کی باتیں ہیں
ابھی تو ساری یہ چیزیں تمھیں مَیں دے نہیں سکتا
اور
میرا کیا ہے مستقبل ؟
ابھی کچھ کہہ نہیں سکتا
بَس اتنا جانتا ہوں کہ
ابھی کچھ بننے کی خاطر
سَمے درکار ہے مجھ کو
کہ اپنوں کی مَدد لینے سے بھی اِنکار ہے مجھ کو
اگر تم لوٹنا چاہو !
تو اب بھی وقت ہے جاناں !
جو مجھ کو بھولنا چاہو
تو اب بھی وقت ہے جاناں !
مگر جب زندگی میں پھر
کسی سے پیار کرنا تم
بھلا دینا مجھے
لیکن
بَس اِتنا یاد رکھنا تم
"مجھے تم سے محبّت ہے"
کسی کو اتنا کہنا
یا
کسی سے اتنا سن لینا
کبھی کافی نہیں ہوتا
محبّت کے لیے اس دور میں
بہت کچھ چاہیے جاناں !
بہت کچھ چاہیے جاناں
..............................
"Mujhay Tum sy Muhobat hai"
Mujhay Tum sy Muhobat hai
Kisi Ko itna Kehna Ya
Kisi sy itna Sun Lena
Kabhi Kafi nahi hota
Muhobat K Liye is dor me Bahot Kuch Chahiye Janaan
aur Bangla, Car, Achi Job
zaroorat Ki To chezein hain
Agar Ye paas na hoon To
"Mujhay Tum sy Muhobat hai"
Ka Ye Firsoda sa jumla
Bahot Firsoda Lagta hai
Mehz aik dhoka Lagta hai
Muhobat Weisay bhi ehsaas Karnay,
Khayaal rakhnay Ka naam hi to hai
Agar Tum Ye samjhti ho
"Muhobat andhi hoti hai"..
To itna jaan Lo janaan
Ye Dewaano Ki baatein hain
Parwanoon Ki baatein hain
Abhi to saari Ye chezein
Tumhein me day nahi sakta
Aur Mera Kiya hai Mustaqbil?
Abhi Kuch Keh nahi sakta
Bas itna Jaanta hoon K
Abhi kuch ban'nay Ki khatir
Samy darkaar hai Mujh Ko
K aapno Ki madad lenay sy bhi inkaar hai Mujh Ko
Agar Tum Lotna Chaho
TO ab bhi Waqt hai Janaan
Jo Mujh Ko bhoolna chaho
To ab bhi waqt hai Janaa
Magr jab zindagi me phir
Kisi sy piyaar Karna Tum
Bhula Dena Mujhay Lekin
Bas itna Yaad rakhna Tum
"Mujhay Tum sy Muhobat Hai"
Kisi Ko itna Keh Dena
Ya Kisi sy itna Sun Lena
Kabhi Kafi nahi hota
Muhobat K liye is dor me
Bahot Kuch Chahiye Janaan
Bahot Kuch Chahiey Janaan
Mujhay Tum sy Muhobat hai
Kisi Ko itna Kehna Ya
Kisi sy itna Sun Lena
Kabhi Kafi nahi hota
Muhobat K Liye is dor me Bahot Kuch Chahiye Janaan
aur Bangla, Car, Achi Job
zaroorat Ki To chezein hain
Agar Ye paas na hoon To
"Mujhay Tum sy Muhobat hai"
Ka Ye Firsoda sa jumla
Bahot Firsoda Lagta hai
Mehz aik dhoka Lagta hai
Muhobat Weisay bhi ehsaas Karnay,
Khayaal rakhnay Ka naam hi to hai
Agar Tum Ye samjhti ho
"Muhobat andhi hoti hai"..
To itna jaan Lo janaan
Ye Dewaano Ki baatein hain
Parwanoon Ki baatein hain
Abhi to saari Ye chezein
Tumhein me day nahi sakta
Aur Mera Kiya hai Mustaqbil?
Abhi Kuch Keh nahi sakta
Bas itna Jaanta hoon K
Abhi kuch ban'nay Ki khatir
Samy darkaar hai Mujh Ko
K aapno Ki madad lenay sy bhi inkaar hai Mujh Ko
Agar Tum Lotna Chaho
TO ab bhi Waqt hai Janaan
Jo Mujh Ko bhoolna chaho
To ab bhi waqt hai Janaa
Magr jab zindagi me phir
Kisi sy piyaar Karna Tum
Bhula Dena Mujhay Lekin
Bas itna Yaad rakhna Tum
"Mujhay Tum sy Muhobat Hai"
Kisi Ko itna Keh Dena
Ya Kisi sy itna Sun Lena
Kabhi Kafi nahi hota
Muhobat K liye is dor me
Bahot Kuch Chahiye Janaan
Bahot Kuch Chahiey Janaan